(V. Shantaram Ji se chhama sahit)
Swatantrata Diwas ki paawan sandhya par rajnaitik daldal mein apni lekhni dubo kar ek parody likhi hai. Aasha karta hoon ki aap sab iske sulabh shabdon par na jakar iske bhaav tatha vyang ka aanand lenge.
" Aiy Maalik terey bande hum,
Aise bhi kya apne karam,
Neta jo diye sab hain behroopiye,
Kuch in mein se kar de tu kam.
Yeh election hai phir aa raha
Tera insaan ghabra raha
Vote kisko de ab
Isne dekhein hain sab
Koi zyaada hai, koi hai kam,
Loot chori hai inka dharam,
Nahi aati hai inko sharam.
Neta jo diye sab hain behroopiye,
Kuch in mein se kar de tu kam.
Oochey oochey hain inke mahal,
Ghaple inke liye hain sehel,
Roz daawat karein,
Hum to bhookon marein,
Humko pani nahi, inko rum.
Neta jo diye sabh hain behroopiye,
Kuch in mein se kar de tu kam.
Jhootey kisse hain yeh gaanthte,
Bhaibhai ko hain baantte,
Yeh vibhaajan karein,
Usse shaasan karein,
Kab talak inko jheleinge hum.
Neta jo diye sab hain behroopiye,
Kuch in me se kar de to kam.
Aiy Maalik tere bande hum....