Sunday 23 September 2012

Bapu kya main beti tumhari nahi hoon?

Ek tiraskrit beti ki pukaar.
Daughter's Day Special- Education of the Girl Child.


Bapu kya main beti tumhari nahi hoon?
Bhaiya ke jitni kya pyari nahi hoon?

Hasna mujhe bhi toh aata hai bapu,
Padhna mujhe bhi toh bhata hai bapu,
Par tumne na di mere haathon mein pustak,
Kaha bhagya ke aage raho nat mastak.

Bapu kya main beti tumhari nahi hoon?
Bhaiya ke jitni kya pyaari nahi hoon?

Baapu main jab jaungi sasuraal apne,
Le jaungi kya khwaab kya sapne?
Kolhoo ka bail ban sab karungi?
Pairon ki mail ban sab sahungi?

Bapu kya main beti tumhari nahi hoon?
Bhaiya ke jitni kya pyaari nahi hoon?