Sunday, 30 December 2012

Neend kis tarah aayee tumhe uss raat


उनसे क्या कहूं जिन्होंने वह ज़ुल्म किया। यह संबोधन उन सम्वेद्न्हीनों से है जिन्होंने 16 दिसम्बर को उस अबला की सहायता नहीं की।

हे कृषण-देश के वासियों 
बतलाओ मुझे यह बात
नींद किस तरह आयी तुम्हे उस रात ?

उसकी वेदनाएं, उसकी चीत्कार
सहायता के लिए उसकी पुकार 
सुनी नहीं तुमने या सुन ना  चाही नहीं
अबला की चीखों ने क्या नहीं किया
तुम्हारे ज़मीरों पर कुठाराघात
नींद किस तरह आई तुम्हे उस रात ?

बहुत सहा उसने, बहुत लड़ा उसने
पर कहाँ तक और कब तक लडती वह
अंततः वह चल गयी, पर
छोड़ गयी अधूरे सपने और कुछ मर्मस्पर्शी तास्सुरात
और बहुत से उलझे हुए सवालात
सर्वप्रथम यह की नींद किस तरह आयी तुम्हे उस रात ?

हे कृषण-देश के वासियों 
बतलाओ मुझे यह बात
नींद किस तरह आयी तुम्हे उस रात ?

Sunday, 23 September 2012

Bapu kya main beti tumhari nahi hoon?

Ek tiraskrit beti ki pukaar.
Daughter's Day Special- Education of the Girl Child.


Bapu kya main beti tumhari nahi hoon?
Bhaiya ke jitni kya pyari nahi hoon?

Hasna mujhe bhi toh aata hai bapu,
Padhna mujhe bhi toh bhata hai bapu,
Par tumne na di mere haathon mein pustak,
Kaha bhagya ke aage raho nat mastak.

Bapu kya main beti tumhari nahi hoon?
Bhaiya ke jitni kya pyaari nahi hoon?

Baapu main jab jaungi sasuraal apne,
Le jaungi kya khwaab kya sapne?
Kolhoo ka bail ban sab karungi?
Pairon ki mail ban sab sahungi?

Bapu kya main beti tumhari nahi hoon?
Bhaiya ke jitni kya pyaari nahi hoon?

Thursday, 16 August 2012

Democracy

Durbhagya vash 65 varsh ki azaadi ke baad bhi humein sahi manon mein DEMOCRACY nahi mill payi hai.
Chakradharr kehte hain," Jahaan janta ki, janta dwara, janta ke liye aisee taisee hoti hai wahi democracy hoti hai." Main apne toote phoote shabdon mein yun kehta hun:



Swatantra huye din beet gaye,
Par DEMOCRACY ek mithya hai,
Is desh ke bhaiyya roop hain do,
Ek Bharat hai, ek India hai.


Yahaan kewal roti aur paani,
Wahaan cake aur murga biryani,
Har shai ka hai aabhav yahaan
Aur sab kuch hai bebhaav vahaan.
Yahaan paida kar kar marr jaate,
Wahaan paida kar ke tarr jaate,


Haan chain se aati neend yahaan,
Wahaan dunlap hai lekin chain kahaan?
Is desh ke bhaiyya roop hain do,
Ek Bharat hai, ek India hai.


Azaadi ka arth

Mitron, desh ki vartamaan paristhithiyon se khinn ho kar bojhil mann se main in chaar panktiyon dwaara maujooda parevesh mein azaadi ka arth pesh kar raha hoon.


Hum azaad hain khoon bahaane ke liye,
Hum azaad hain loot ke khaane ke liye,
Isi ko toh kehte hai POORN SWARAJ,
Poora desh apna hai aag lagaane ke liye.

Monday, 28 May 2012

REJUVENATION



This poem was written in December, 1991.
It is dedicated to my daughters.


Returning from a hectic day at work
When I see your toothless cherubic smile,
Light up your endearing face,
When I hear you gurgle
Your tiny tongue darting in and out
I stare at you mesmerised.
And then you clutch at my fingers
While I hold you close
To kiss your chubby cheeks
And all of a sudden
My tiredness and fatigue disappear
Like the morning mist
Dispelled by the rising SUN
And I am rejuvenated.


Saturday, 5 May 2012

Fashion ki Deewangi

Doston, aaj aap ke liye pesh hai ek naya hi rang,
Karuna aur desh prem ke baad lijiye hasyawyang.

(TV par vibhinn fashion parades evam fashion week se chhubdh ho kar maine yeh panktiyaan likhi hain).



Vastron ki pradarshini hai ya nirvastrta ki?
Sajja ke naam par hod hai nirlajjata ki
Daulat aur shohrat ki daud mein dekho
Bali chadh rahi hai Bhartiya asmita ki.



Isi se sambandhit, shaadi ke "bazaar" par ek tippani.


Maa boli beti se, "Haiyen! Ye poore vastra kyun pehne?
Ari nasamajh pehen aadhe vastra aadhe gahne,
Shaaleenta, sanskriti aur sankoch, huye sab puraane naam
Shaadi ke bazaar mein adhnagnta  hi badhaati daam."

Tuesday, 1 May 2012

Ek Maasoom Prashn

  Dear friends on the occasion of Labour day, I present this poem inspired  by a real life incident.



Koode ke dher se
Sookhi roti ka tukda nikaal
Munna apne maile daaman se kar raha tha saaf
Aur oopar aasman ki ore dekh maang raha tha insaaf
Main bhi toh tera hi banda hoon aye Khuda
Phir meri haalat inn ameeron se kyun hai itni judaa?
Bataa, bataa mujhe kyun aisa hai Bhagvan (pronounced as Bhag-one)
Inke liye bhojan kooda hai
Aur mere liye kooda hi bhojan.

Tuesday, 24 April 2012

VANDE MATARAM

If Vande Matarm is "Maa tujhe salaam"
How can it be anti-Muslim or anti-Islam?
I love my MOTHER, but do not worship her
I love my MOTHERLAND too
And salute her but with my head held high
Proud to be her son
Proud to be an Indian.
Vande Mataram!
Jai Hind!!

Sunday, 22 April 2012

SMRITI- Ek Shradhanjali

                                          
                                       I wrote this a month after my father's death in 1995.



Aaj sab hai,
Par tum nahi
Kilkariyon, qahqahon aur khel-kood se door
Main alag baitha sabko hasta bolta sunn raha hoon
Dukhi hoon par dukh nahi dikha raha hoon
Apni aankhon ki nami chupa raha hoon
Par, smriti patt par ubharti yaadein?
Unhe kaise rok sakta hoon?
Aaj phir ateet ki dastak sun
Mann ke dwaar kholta hoon
Aur meethi yaadon ko tatolta hoon
Woh sandhya ke prateeksha chhan
Dwaar par tiki nigahein, phir dustak
Aur daftar se tumhaara aana
Koi choti si bhent, koi kand mool lana
Phir tumhari paseene se nam, sheetal peeth par humaare kapolon ka sparsh 
Vatsalya ki anhubhuti 
Kya anand, kya sukh, kya harsh
Aaj apne bachon ko hasta dekh wahi sab yaad aa raha hai
Wahi anand, vatsalya aur sheetalta
Phir dabdabayi aankhon se baih nikli ashru dhara 
Annsuon ki garmi ne un sheetal yaadon ko dhumil kar diya
Aur main phir vartamaan mein tumhaari kami ke gham se joojhta hua
Mehsoos kar raha hoon
Apne ko bheedh mein akela
Bilkul akela.



Saturday, 21 April 2012

Hi, this is my new blog. My daughter, Sadaf Zaidi has designed it for me. Feel free to comment and wish me luck for the future of this blog :)